spot_img
Home cinema gali Mumbai : ईशा देओल को खल रही प्यार की कमी

Mumbai : ईशा देओल को खल रही प्यार की कमी

0
25


Mumbai : isha deol ko khal rahi pyar ki kami mumbai : (Mumbai) abhinetri isha deol (Actress Esha Deol) ne businessman bharat takhtani (Bharat Takhtani) se algaav ke baad pehli baar apni niji jindagi aur bhavnatmak sangharsh par khulkar baat ki hai. ek interview mein isha ne kaha ki wah kabhi nahin chahti thin ki unka talak surkhiyan bane. unhone mana ki sarvajanik jeevan ka hissa hone ke karan niji baatein bhi logon ke samne aa jaati han, lekin unhone aur bharat ne poore samman aur garima ke saath is daur ka samna karne ki koshish ki. isha ne kaha ki yah sirf do logon ka niji faisla tha, jisme unke bachchon ka bhavishya bhi juda hua tha. isha ne bataya ki mushkil samay mein unke parivar ne har kadam par unka saath diya. unhone kaha ki bachchon ki vajah se yah daur aur bhi samvedansheel tha, isliye har faisla bahut soch-samjhkar lena pada. social media trolling (social media trolling) par pratikriya dete hue abhinetri ne bataya ki lagatar aa rahi tippaniyon ke chalte unki team ne unke social media account ka comment section band kar diya. unhone kaha ki kalakar apne prashansakon se judna chahte han, lekin logon ko bhi unki niji jindagi aur maryada ka samman karna chahiye. apni niji jindagi par baat karte hue isha ne sweekar kiya ki unki jindagi mein filhaal pyar aur romance ki kami unhen mahsoos hoti hai. halanki, unhone kaha ki unka pyar par bharosa aaj bhi kayam hai. isha ke mutabik, unke mata-pita dharmendra aur hema malini ke rishte jaisa nishchhal, sammanpurn aur bina shart wala prem aaj ke daur mein bahut durlabh ho gaya hai. unhone kaha ki unhone apne mata-pita ke rishte mein sacche prem ko kareeb se dekha hai aur wahi unke liye hamesha prerna ka srot rahega.
Show more
Mumbai: Esha Deol Feels the Absence of Love
1,540
Mumbai: Esha Deol Feels the Absence of Love

मुंबई : (Mumbai) अभिनेत्री ईशा देओल (Actress Esha Deol) ने बिजनेसमैन भरत तख्तानी (Bharat Takhtani) से अलगाव के बाद पहली बार अपनी निजी जिंदगी और भावनात्मक संघर्ष पर खुलकर बात की है। एक इंटरव्यू में ईशा ने कहा कि वह कभी नहीं चाहती थीं कि उनका तलाक सुर्खियां बने। उन्होंने माना कि सार्वजनिक जीवन का हिस्सा होने के कारण निजी बातें भी लोगों के सामने आ जाती हैं, लेकिन उन्होंने और भरत ने पूरे सम्मान और गरिमा के साथ इस दौर का सामना करने की कोशिश की। ईशा ने कहा कि यह सिर्फ दो लोगों का निजी फैसला था, जिसमें उनके बच्चों का भविष्य भी जुड़ा हुआ था।

ईशा ने बताया कि मुश्किल समय में उनके परिवार ने हर कदम पर उनका साथ दिया। उन्होंने कहा कि बच्चों की वजह से यह दौर और भी संवेदनशील था, इसलिए हर फैसला बहुत सोच-समझकर लेना पड़ा। सोशल मीडिया ट्रोलिंग (social media trolling) पर प्रतिक्रिया देते हुए अभिनेत्री ने बताया कि लगातार आ रही टिप्पणियों के चलते उनकी टीम ने उनके सोशल मीडिया अकाउंट का कमेंट सेक्शन बंद कर दिया। उन्होंने कहा कि कलाकार अपने प्रशंसकों से जुड़ना चाहते हैं, लेकिन लोगों को भी उनकी निजी जिंदगी और मर्यादा का सम्मान करना चाहिए।

अपनी निजी जिंदगी पर बात करते हुए ईशा ने स्वीकार किया कि उनकी जिंदगी में फिलहाल प्यार और रोमांस की कमी उन्हें महसूस होती है। हालांकि, उन्होंने कहा कि उनका प्यार पर भरोसा आज भी कायम है। ईशा के मुताबिक, उनके माता-पिता धर्मेंद्र और हेमा मालिनी (Dharmendra and Hema Malini) के रिश्ते जैसा निश्छल, सम्मानपूर्ण और बिना शर्त वाला प्रेम आज के दौर में बहुत दुर्लभ हो गया है। उन्होंने कहा कि उन्होंने अपने माता-पिता के रिश्ते में सच्चे प्रेम को करीब से देखा है और वही उनके लिए हमेशा प्रेरणा का स्रोत रहेगा।